People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 8 *

Yeh Bhi To Insaan
Singer: Asha Bhosle
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Yeh-Bhi-To-I
tum thekedar bane baithe ho
dharm ki in dukan par
insaan ko jo samjhe achhut
lalach kise insano par
lalach kise insano par
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
ye hamse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr hunm achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan

unch nich ka ye bhed bhaw chhod ke
ham rahenge aaj ye divar tod ke
jiske dwar band hain, us ram ki kasam
ab na koi kar sakega hampe ye sitam
chal pada jahan gandhi ka le vardan
ye hamse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyun
ye bhi to insaan, ishaa ki santan

badal gayi ye kudrat kyun
hamse aisi nafrat kyun
badal gayi ye kudrat kyun
hamse aisi nafrat kyun
chhote bade samjhne wale
badhti jati adat kyun
raam ke mandir me ja sakta
chuha billi kauwa
par sidhi bhi chhu na sakta
ye insaan ka hauwa
ham papi aur tum dharmi kyun
iska hame javab do
ham sevak aur tum swami kyun
iska hame javab do
ham pathar aur tum moti kyun
iska hame javab do
ham achhut aur tum moti kyun
iska hame javab do
javab do, javab do
ham pavitr aur tum achhut kyun
iska hame javab do
javab do, javab do
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan

ye pavan agan gagan sabhi ke waste
fir bhi kyu alag alag hamare raste
inko chhuna paap hain ye kya kamal hain
inka bhi to apane jaisa khun laal hain
inko to pahchan, inme wohi jaan hain
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan

inke puja ka tilak lagaya shyam ne
inke sabri ke chakhe the ber ram ne
inke liye tadap uthi gandhi ki aatama
inko gale lagake wo bane mahatma
maan ya maan inme hain bhagvaan
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan

tum jhuth muth hi rijh rahe ho
pathar ke bhagwano par
nafrat ke teer chalate ho
tum in garib insano par
tum traskar ka namak
chhidakte inke ghayal praano par
inke murde jalne na dete
tum apane shamsano par
jo inhe dalit kahe ghrina kare
to thu aise viddwano par
jo inhe shatru kahe thukraye
dhikkar hain aise purano par

ye hain bejuban bhagwan me mehman
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
ye bhi to insaan, ishaa ki santan
fir inse rakhte chhua chhut kyun
tum pavitr ye achhut kyu
O Shirdi Ke Sai Baba
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/O-Shirdi-Ke-
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me
chahe amir ho, chahe garib ho
sab hi samaye tere pyar me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me

dur dur se tere darshan, karne ate nar nari
kalyug ke avtari baba, tum ho bade chamtkari
pathar ka singhasan tera, aasan bada nirala
tere dwar par chhua chhut ka, kabhi na lagta tala
ho tu hain dayalu data, sab jag tera gun gata
tujhsa na koi sansar me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me

hindu muslim shikh isaai, sabse tera nata hain
tere dwar par aakar koi, khali hath na jata hain
din hin ki raksha karne dhuni teri jalti
tere duaaye jiske sath ho uski balaye talti
o teri sharn jo ata, tu hain jisko apnata
nayiya na dube majhdahr me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me

nirdhan ko dhan nirbal ko balwaan
tuhi karne wala
andho ko aankhe
gungo me jubaan bharne wala
lule langde tere aash kar, paas tere jab jate
tere kripa se aise rog kya, maha rog mit jate
ho kanto bhi tujhko pyare, fulo ke bhi rakhwale
sab hi gunthe hain tere pyar me
ho sai aaye ham tere darbar me
ho shiradi ke sai baba, hamre gosai baba
aaye ham tere darbar me
ho sai aaye ham tere darbaar me
Paschim Se Aazadi Aayi
Singer: Jayamala
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Paschim-Se-A
paschim se azadi aayi, fashion ki sahjadi aai
he he he
paschim se azadi aayi, fashion ki sahjadi aai
unchi edi bikhre baal, lovely lovely chal

wo lad gaye log purane, ab aaye naye jamane
ye rang badlti nayi hawaye
gaye hain naye tarane
la la la la la la
wo beet gaye afsane, ab geet hain naye banane
ye sari aur salvar badlkar
frock pant pahnane
jhat se ye baal karo down
maidam sar se pahno gown, maidam
ha ha ha ha
he paschim se azadi aayi, fashion ki sahjadi aai
unchi edi bikhre baal, lovely lovely chal

ye ghar ke jhanjhat tyago
ek din ke liye kahi bhago
bandhan ki kadiya tod fod
dharti ki pariya jago
la la la la la la
makeup har waqt sambhalo
shisha har bar nikalo
in laaj bhari do ankho, par ek kala chashma dalo
maidam muh m elo ciggrete
khula hain aazadi ki gate, maidam
ha ha ha ha
he paschim se azadi aayi, fashion ki sahjadi aai
unchi edi bikhre baal, lovely lovely chal

hontho pe lagao lali
balo pe chadhao jali
nakhun badha ke sister
jhatpat dhundho apna mister
ha ha ha ha
kho jao dans me ho ho
hay romance me aha aha
kho jao dans me ho
hay romance me very god
mast baharo se ye aati hain sada
banke fashinable wife, bana do aaj kisi ki life
banke fashinable wife
he paschim se azadi aayi, fashion ki sahjadi aai
unchi edi bikhre baal, lovely lovely chal
Peene Ki Bhi Ab Aadat Aesi
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Peene-Ki-Bhi
bangal ke babu peete hain
bambai ke mistr peete hain
bambai ke mistr peete hain
peene ki bhi adat vaisi hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain

use achcha rakhe, jo sabko pilakar peete hain
jo sabko pilakar peete hain
peene ki bhi adat vaisi hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain

jo koi peeye uske sar se
lakho hi balaye tal jaye
julfo ki tarah lahraye dhuaa
dilwale wahi pe machal jaye
ciggrete ki badaulat fokat me
rukte huye kam nikal jaye
aur gairo ko mohabbat aa jaye
dushman ke irade badal jaye
rangeen tabiyat hain jinki
wo log peeye to fisal jaye
o babu sambhal kar sulgana
aisa na ho muchhe jal jaye
hunsiyar wo hain jo sigret ko
nlki me laga kar peete hain
nlki me laga kar peete hain
peene ki bhi adat vaisi hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain
sab log barabar peete hain
Badal Rahi Zameen Badal Raha
Singer: Geeta Dutt
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Badal-Rahi-Z
badal rahi hain jamee, badal raha hain aasma
badal rahi hawaye, aur badal raha jahaa
bahno tumhare samne, tedha sawal hain
manushy ke bhavisy ka, tumhe khayal hain
ghunghat nikal ke jo, tum yu sunghti rahi
kajal nayan me dal, phul sunghti rahi
nylon ki sariyo me, tan ubharti rahi
fashion pared me, umar gujarti rahi
mit jayega ye mulk, aur ye jyotiya tamaam
jo tum na tham loge aaj waqt ki lagam
bahno tumhare kandhe pe, gajab ka bhaar hain
svdharm ki svdesh ki, tumhe pukar hain
jago bhavishy ki matao
jago dharti ko sitao
jago puran aur geetao jago

mardo ke faisalo ka to, vahi purana dhang hain
dasi banakar hamko, rakhna chahte hain sang
aadat purani mardo ki kabhi na jayegi
tahjeeb inki hain, inhe yahi sikhayegi
bas hamse to inhe, rangeela pyaar chahiye
kuchh puchhne ka bhi, nahi adhikar chahiye
parda hatao dharm ka, ye sharm chhod do
aurat pe jo sitam kare, wo dharm chhod do
mardo ke karnamo ke hain, unke rang dhang
mardo ke haatho se sada hi hote aaye jung
ye jung ab na ho na, julmo ka kahi ho jor
bas aaj apane haath me lo inki bagdor
jago shanti ki avtai
jago shasan ki adhikari
jago ghar ghar ki sannari jago

vigyan ka inhe hua bada guman hain
mana ki chandr lok me gaya vimaan hain
atom banane waalo ko na itana dhayan hian
atom hi par khada hua, inka makan hain
rocket banake samjhte tarakki ho gyai
insaniyat ki neev aaj pakki ho gayi
din raat jhuthe khwab me hi jhulte hain ye
hona kya chahiye wo baat bhulte hain ye
apani grihasti chhod jane ghumte kidhar
saare jaha ka bas inhi ko hain laga fikar
taakat batorne ko hain inhe bada nasha
is khinch taan me na ho kabhi durdasha
jago he gyan ki balao
jago vijayi jai malao
jago jauhar ki jwalao jago
Jhumo Re Jhumne Ke Din Aaye
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Jhoomo-Re-Jh
jhumo re jhumne ke din aaye
phulo ko chumne ke din aaye
zindagi ke maze le le le lo
jhumo re jhumne ke din aaye
phulo ko chumne ke din aaye
zindagi ke maze le le le lo

duniya kare thitoli duniya ko maro goli
hum masto ki toli kaliyo se bhare jholi
bole gitpit boli aaye hai gajab goli kha
duniya kare thitoli duniya ko maro goli
hum masto ki toli kaliyo se bhare jholi
bole gitpit boli aaye hai gajab goli kha
are jhumne ke din aaye
phulo ko chumne ke din aaye
zindagi ke maze le le le lo

dariya uchhala mare, jhatke tode kinara
din me dikhaye tare kabhi na jawani hare
mare ya kisi ko mare isi ke sahare pyare aa
dariya uchhala mare, jhatke tode kinara
din me dikhaye tare kabhi na jawani hare
mare ya kisi ko mare isi ke sahare pyare aa
jhumo re jhumne ke din aaye
phulo ko chumne ke din aaye
zindagi ke maze le le le lo

ankhiya phadak gayi bijli kadak gayi
dharti dhadak gayi duniya bhadak gayi
khopadi tadak gayi ulti sadak gayi ha
ankhiya phadak gayi bijli kadak gayi
dharti dhadak gayi duniya bhadak gayi
khopadi tadak gayi ulti sadak gayi ha
jhumo re jhumne ke din aaye
phulo ko chumne ke din aaye
zindagi ke maze le le le lo
Chalta Chal
Singer: Manna Dey
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Chalta-Chal/
raam
chalta chal chalta chal
o dhup ho chhanw ho
dur terea gaon ho, chahe thake panw ho
chalta chal tu chalta chal

ye ful aur ye kante, maliq ne barabr bante
fulo ka bag lagana to, kanto se bhi na tal
ram, chalta chal chalta chal
o dhup ho chhanw ho

mat mang dya ki bhikh
ye teri agni pariksha
is jag ivan ki jwala me
tu kundan ban ke nikal
chalta chal
o dhup ho chhanw ho
chahe thake panw ho
chalta chal tu chalta chal

mat kho ankhiyan ke moti
sach ki chamkegi jyoti
hardam suraj ko dhak na saka
udta firta baadal
chalta chal
o dhup ho chhanw ho
chalta chal
dur tera gaon ho, chahe thake panw ho
chalta chal tu chalta chal
chalta chal tu chalta chal
chalta chal tu chalta chal
chalta chal tu chalta chal
Oopar Se Uz Le
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Fashionable-Wife/Oopar-Se-Naz
o sada jivan unche khayal se desh tha ye aabad
fashion ke putlo ne dekho ise kiya barbad
upar se ujle bhitar se kale
upar se ujle bhitar se kale
samjhe nahi samjhaye re
fashion ke andhe duniya me dekho
pag pag pe thokar khaye re
pag pag pe thokar khaye re
upar se ujle bhitar se kale

bahar ki jhuti chamak damak me
bahar ki jhuti chamak damak me
aankhe sabki dhundlayi re
man ka mel chhudane ke badle
kapdo ki karte safayi
andhiyaro ko ye samjhe ujala
andhiyaro ko ye samjhe ujala
inpe taras koi khaye re
fashion ke andhe duniya me dekho
pag pag pe thokar khaye re
pag pag pe thokar khaye re
upar se ujle bhitar se kale